Banana News Network – 2nd June 2011 Latest on Geo News
If The Video is Not Loaded Please Try Refreshing the page or Update your Flash PlayerBanana News Network – 2nd June 2011 Latest on Geo News

Banana News Network – 2nd June 2011 Latest on Geo News

@ indian muslim
Its natural my friend. i am in uk.
indian bhi kahtay hain hum blah blah…. province say hain .
Don’t mind. In the end they all are sincere with pakistan.
aur jis aadmi nay kaha (dafa karo pakistan ko koi aur baat kro) wo ya tau stupid hai
ya apni country kay liya worried hai.
Aur pakistan ko ab tak ALLAH nay aur hum awam nay bachaya hai aur kisi nahi.
and plz brother app aik hi baat ko daily different words say post na kiya karain.
Many Thanks
Like or Dislike:
2
1
Assalam O Alikum Pakistani Bhaion.
Aaj main aap ko batata hoon sach kiya hay.
Iss ko zaroor parhna aur agar Bura lagay tou advance sorry. magar ye sach hay.
Main kafi time say yahan europe ki mukhtalif country main reh raha hoon specially Italy, France, Spain main. Meray buhat dost hain yahan pakistani aur almost har province aur almost every city.
Main aap ko haqeeqat batata hoon main aik everage batata hoon mere 100% pakistani doston main say jab main nay pocha aap kon ho tou ……….95% nay jawab diya, Panjabi Pathan Sindhi Balochi Aur Urdu Speeking, Us kay baad bola Shia, sunny, Dio bandi, Ahlesunnat, brelwi, Us kay baaaad jab detail main gaye tou
phir karachi , lahore islamabad Gujrat Gujranwala Sialkot aur many more,
Mujhay buhat dukh huwa kion kay siraf 5% Nay Ya musalman Aur ya Pakistani bola.
Us kay baad jab halaaat par baat ki tou kaha dafa karo pakistan ko koi aur baat kro.
Un ka tou pata nahin magar sahi bataoon mera dil buhat dukha, Mujhay meray sawal ka jawab mil gaya jo main kafi arsay say sochta tha,
wo sawal ye tha,
Akhir Kiya waja hay kay Itna Zabardast Country Jis ka main Allah ko Gawah bana kar kehta hoon kay dunya main koi Sani nahin, kion aesay halaat main phasa huwa hay.
tou Jawab mujhay ye mila kay People.
Allah pak ka Wada Hay Jesay Awaam wesay Hukmeran. Aap log Agar apnay aap ko nahin badlain gay aur issi tarha siraf apni khuwahishat ko apna Khuda banayen gai tou bhai waqt buhat be reham hota hay.
Jab haq na mil raha ho tou Awaaz Uthana parti hay aur kai dafa Haq cheen´na parta hay.
Shayed aap ko meri baatain buri lagain magar app agar thanday dil say sochain tou aap sab iss kay zimedar hain ji haaaaan sab, kisi na kisi zumray main sab.
Ab aik hal hay Allah Pak say Rujuu Karain aur siraf haq aur sach ka sath dain, agar nahin tou Allah ka wada hay kay wo Azaab day kar Qaum ko khatam kar deta hay aur aik nayi Qaum un ki jagha le leti hay.
Bhaion Faisla aap nay karna hay koi aap ko bachany nahin aye ga aap nay khud apnay liye larna hay, aur akhri baat agar aap ye sochain kay America India Ya israeel aapka dusman hay tou sorrry to say aap log khud apnay dushman hoo. agar aap Musalman aurt us kay baad Pakistani hoon tou Mera Ieemaan hay Dunya ki koi Taqat Siwaye Allah pak Ki zaat Kay, ap ka kuch nahin bigarh Sakti.
Time is too short plz do something for you and for your sweet country.
aik akhri baat, ye taliban waliban kuch nahin hain ye siraf Rehman Malik hay iss ko nanga kar kay 2 jutay maro sab bata day ga kaun hain aur kion kar raha hay.
apni Duaooon main mujhay yaad rakhna, meri Khuwahish hay kay India main Aik naraa lagay aur wo ye ho,
PAKISTAN ZINDABAAD,
PAkistan Ka Matlab Kiya
La Ilaha Illallah.
Apka Musalman bhai.
Allah Aap sab ka Hami O Nasir ho.
Jazak Allah.
Like or Dislike:
10
2
2 GUNJAY 1 SHAITAN LOOT KEY GAY PAKISTAN..
Hot debate. What do you think?
22
8